Monday, October 19, 2009

~MAA AUR BETI KA RISHTA~



BETI KA KEHNA MAA SAY


Yeh Kamyaabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai

Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Maqaam Tum Se Hai

Tumharey Dam Se Hien Mere Laho Mein Khiltey Gulaab

Mere Wajood Ka Sara Nazaam Tum Se Hai

Kahan Bisaaat Jahan Aur Mein Kamsin Nadan

Yeh Meri Jeet Ka Sab Ehtamam Tum Sey Hai

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Mein Hoon

Jahan Jahan Hai Mera Ehtaraam Tum Sey Hai


BETI SHADI BEDAI KAY WAQT


Kese Bhoolo Mein Vo Din Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Mein Rooth Jati To Pyar Se Mujhe Manati

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Na So Paon Mein Vo Lori Ga Ke Sunati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Mein Khaon Na Vo Peeche Peeche Aati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Roti Thi Mein Vo Pyar Se Sehlati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabi Hasti Thi Mein Vo Phooli Na Samati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Kyo Kiya Vida Tune Mujhe Doli Mein Bitha Ker Ke

Roi To Mein Bahoot Thi Phir Bhi Na Roka Tune Mujhe


BETI SASURAL MAIN


Aaj Jab Mein Roti Hoon To Koi Manata Nahi

Aaj Na So Paon Agar Mein To Koi Lori Gata Nahi

Aaj Jab Mein Rooth Jaon Koi Manata Nahi

Aaj Na Khaon Jo Mein To Koi Khilata Nahi

Aaj Mein Udas Hoon To Kyo Tu Aati Nahi

Kyo Tu Apne Saath Mujhe Vapis Le Jati Nahi


MAA KA PYAR BETI KAY LIYE


Sunti Hoon Pukar Teri Lekin Mein Majboor Hoon

Koi Nahi Hai Mera Mein Gamo Se Choor Hoon

Na Saya Hai Pati Ka Na Beta Mere Saath Hai

Duniya Ki Jo Reet Hai Usse Mein Majboor Hoon

Chahati Hoon Paas Rakhna Lekin Duniya Se Majboor Hoon

Aaj Mein Pachtati Hoon Kyo Roothi Ko Manaya Mene

Kyo Lori Gaa Ke Sulaya Mene

Kyo Pyar Se Sehlaya Mene

Kyo Laad Sare Ladaye Mene

Kyo Bhool Gai Mein Tu To Parai Hai

Mere Ghar To Keval Mehmaan Ban Ke Aai Hi


HATS OFF TO WOMENS


BETI....BEHAN....BAHOOO...BIWI....
BUT SAB SAY BADA CHALLENGE
MAA


No comments:

Post a Comment

Thankyou