Monday, October 19, 2009

Dua Our Khuda


Dua Our Khuda
D*U*A

Dua aik Aitmaad hai*

Dua aik Yaqeen hai*

Dua aik Bhrosa hai

Dua aik Umeed hai*

Dua aik guftagu hai*

Dua aik pakizagi hai

Dua aik wasila hai*

Dua aik housla hai*

Dua aik Mohabbat hai

Dua aik raaz hai*

Dua aik Humdard hai*

Dua aik taqat hai*

Dua se Qainaat Hai*

Duayein kitna barha housla hoti hain, Kitna barha sahara hoti hain humari zindagi ke liye, main aksar sochti hon Khuda se baat karne ka agar zariya na hota to kaise jee pate hum, Yeh duayein Allah se baatein karna hi to hota hai, apne dil ke sare raaz lafzon se kholna, kyonke waise to Khuda humari neeyatein janta hai, humare alfaz to bas humare andar ke boojh ko halka karne our thoda sukoon hasil karne ke liye hote hain, Kitna chain milta hai na poore aitmaad our yaqeen ke saath jab hath uthaye jate hain, ya even sirf dil se Allah ko apne Rab ko pukara jata hain, aik ajeeb sa aitbaar sa aik ajeeb tarha se hum mutmain ho jate hain, ke haan wo jisne hume creat kiya wo humein sun raha hai




Dua aik aisa hatiyar hai jise istimaal karne pe na koi saza hai na gunah, yeh aik aisi taqat hai jo sabke paas hai, bas ise kaise istimal karna hai yeh seekhne our mehsoos karne ki baat hai, kehte hain na ke duaon ka ghur dua karne ka salika jab koi khud ya apna pyara mushkil mein hota hain to khud-ba-khud aa jata hai, yeh koi seekhne seekhane ki baat nahin, kyonke wo Khuda har zuban har andaz our har tarha se janta hai hum kya keh rahe hain, kya chah rahe hain, kuch badnaseeb apni duaon mein apni us guftaguu jo Khuda se karte hain us mein shikayat bhi shamil kar lete hain, main nahin kehti ke kisiko kya karna hai, Allah sabka hai, our har kisiko rights hain wo Allah se kaisa taluq and muamla rakhna chahta hai, wo rag rag se kareeb hai, nass nass mein basa hua hai, main sirf yeh sochti hon ke jab shukar keliye waqt our alfaz kam hai to shikwa kaise kare koi, kya thodi thodi sharam nahin ati hogi, I mean jab hum sans lete hain to dua karte hain na, matlab ke Rab se humkalam hote hain in other words, to hum to us aik sans ke ane jane ka shukar ada nahin kar sakte, to shikwa shikayat kaisi?


Shaiyad main pagal hon ya phir bas thoda gehrayi mein jana chahti hon, sir utna jitna main samajh sakti hon, kyonke kuch batein bas dekhne mehsoos karne our subhanAllah kehne ke liye hoti hain, unke analize nahin kiya ja sakta na unko deeply se samjha ja sakta hai haan to main keh rahi thi ke maine aik pic dekhi hmm aik ultrasound baby pic jo mujhe aik friend ne dikhayi a time back, to wahan baby ne na aise hath rakhe the jaise hum dua mangte waqt rakhte hain, made me think hmmmmmm�to yeh silsila aik tarha se humare duniya mein ane se pehle hi shuru ho jata hai, ke hum Allah se baatein karna tab se chahne lagte hain jab abhi humara wujood hi nahin hota kahin is jahan mein, abhi hum ne is duniya our iski ranginiyon ke chehra hi nahin dekha hota..




Har bashar har insaan jis mein zara si jaan hai wo duaon ka sahara kabhi na kabhi zaroor leta hai, koi mane na mane dua chahe dil se kare, ankhon se ashkon ki zurat kare, zuban se alfaz ki surat kare, hath utha kar kare, sar utha kar kare, ya sar jhuka kar kare, beth kar kare, lait kar kare, karhe ho kar kare,har haal mein insan dua zaroor karta hai, kyonke yeh fitrat hai, our fitrat badalti nahin hai Kisi ne kuch paa liya to kahega Oh Allah tera shukar, Oh God thanx� to ho gayi na dua, ke tab aik tarha se Allah se baat ho gayi, hum use kind of bulate hain thanx kehne ko Jab kuch kho diya to ya to unfortunately shikayat alfaz se hogi ya phir khmaosh shikayat, but dua hi hogi na, kyonke Khuda se guftagu hogi��. Koi dua bhi unheard nahin rehti, hota sirf yeh hai ke kyonke Allah behtar janta hai whats best for us to Dua kar form thoda badal jata hai, lekin socha jaye to qubool zaroor hoti hain, one way or the other, our jo nahin hui hoti, wo save hoti hain Allah ke paas, MashAllah what a beautiful place to save our Duas na ))))
Isliye main aksar sochti hon ke humein apni duaon ko bouhat pyara se andaz se ada karna chahiye, ab sochein na ke jab hum apne kisi pyare dost se koi kisi Mehboob se baat karta hai, to kitni mithaas gul si jaati hai lehje mein, humare andar ki saari acchayi samne aa jati hain, kyonke wo jinhe hum chahte hain humare samne hain our hum un se baat kar rahe hain, har baat mein ek ada hogi, aik tazgi hogi, chahe humari soch alag hogi, hum thoda bouhat argue kareinge tab bhi kyonke dil mein chahat ulfat jawaan hoti hai to lehja had-darja narm hi hoga, to sochne ki baat hai DUA to KHUDA se guftagu hai, wo Khuda ke jisne humein paida kiya, hum jo hain jiski rehmat our karam ki wajah se hai, kya humein apne lehje apne andaz ko pyara nahin rakhna chahiye, kya khud-ba-khud humare andar wo mithas wo sukoon wo thehrao nahin aa jana chahiye Dua karte
Afsos hai un par jo chillla kar dua mangte hain, jo kisi wajah se itne pagal ho jate hain ke bhool jate hain samne koan hai, wo kis se muhatib hain, ghirhgirha kar baat karna, us se muafi mangna to theek ho sakta hai, lekin chillla kar us se shikwa karne se darna chahiye�Baat choti si to hai ke Jab sabkuch Khuda ka hai, humare paas jo bhi hai usiki ataa hai, usi ne diya hai, jab hum khud Khuda ke hain, to kuch khone ya na paane par shikayat kaisi? Dua bouhat hi masoom our pyara sa zariya hai Khuda ke kareeb ane ka, ise itna hi masoom our pyara barqarar rakhna chahiye

Meri Dua hai Allah sabki Duaon mein khuloos rakhna, Ameen!

No comments:

Post a Comment

Thankyou