Friday, October 30, 2009

वक़्त और जिन्दगी


वक़्त ने कब ज़िन्दगी का साथ दिया,
हमेशा ही आगे चलते जाता हैं !
और ज़िन्दगी वक़्त की परछाई सी नज़र आती हैं !
वक़्त बहुत बेरहम हैं, अपनी परछाई का साथ छोड़ देता हैं !
वक़्त का हर सितम ज़िन्दगी सहती जाती हैं !
मगर उफ़ भी नहीं कर सकती
किसी के पास इतना वक़्त होता हैं
की काटना मुश्किल हो जाता हैं !
और किसी इतना भी वक़्त नहीं होता की
अपने लिए वक़्त निकल सके !
वाह रे ! वक़्त के सितम !
वक़्त ज़िन्दगी को बहुत उलझता हैं !
ये कैसा वक़्त आ गया जब ज़िन्दगी भी
कुछ कह नहीं पाती !
और वक़्त के खामोश सितम भी सह नहीं पाती !
गर कुछ कहना भी चाहे तो सुनने वाला कोई नहीं
यह कैसे बेबसी हैं, ये कैसी आरजू हैं,
वक़्त के सितम हंस के सहने को मजबूर
जिदगी उदास रहो पर चलती जाती हैं !
काश ! कोई दिखाए दिशा इस ज़िन्दगी को !
वक़्त के साथ चलना सिखाये ज़िन्दगी को !
खामोश राहे हैं खामोश डगर हैं ज़िन्दगी की !
वक़्त का साथ अगर मिल जाये तो
ज़िन्दगी के मायने बदल जायेगे !




Tujhe zindgi ka sharur tha tera kya bana,
tu khamosh kyu hai mujhe bata tera kya bana
vo jo nasib se teri jang thi meri bhi thi
main toh kamyab na ho saka tera kya bana
nayi manzilon ki talash thi so bichad gye
main bichad k tjhse bhtak gya tera kya bana
main muqable mein sharik tha faqt iss liye
koi mjhse aake puchta tera kya bana
mujhe ilm tha k shikast mera nasib hai
tu umidvar tha je…

kitne ajeeb rishtey

kitne ajeeb rishtey hai yaha pe
do pal milte hai saath saath chalte hai
jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe
do pal milte hai saath saath chalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe
yaha sabhi apni hi dhun main deewane hai
kare wahi jo apna dil ki hi mane hai
kaun kisko pooche kaun kisko bole
sabke labon par apne tarana...

Tuesday, October 20, 2009

Respect for Women

Why we Respect for women


















Monday, October 19, 2009

bachpan ....

kuch hum se sunye kuch apni sonayee .... wo dhondlaye baatain
wo bachpan ki yaadain ...bada yaad hai aata hai guzra zamana,
bada yaad aata hai bachpan suhana
Bachpan ki yaad bahut tadpati hai saamne sab kuch aa jaata hai dosto tumhe bahut miss karti hu kahan ho, kaise ho tum,koi khabar bhejo..

yaad hai wo galiya jiski rounak thi dam se hamare kitne hi pyare pyare pal the wo jo hamne sath khel kar guzare yaad hai mujhe wo bachpan ki galya jaha hum SAB ghuma karte the aaj bhi main sab ko bahut miss karti hu


Meri Jaan meri Mom ... raat ko kas kar mujeh choti daalna ye keh kar scarf baan kar sojao subha tak choti theek rahegi ... aaahhhh Mom Subha wo choti nend me tedi hojati thi jo har bacha mujhe dekha kar hansta tha ... Meri jaan Meri Mom i love u ... main aaj bhi tumhe bahut miss karti hu



Sab se acha insaan is dunya ka Mummy Papa jo aksar bachpan me sona karti thi main unka fav. dilouge (Dushman ki nazar dekhta hu sone ka niwala khilata hu ...)un ka matlab tha k ziyada laad nahi karna bacho ko is se bigar jate aur Sone ka niwala se murad un ko dunyah ki har aysh o araam means khushi dunga ....wawww Dad i love u and main aaj bhi tumhe bahut miss karti hubada yaad hai aata hai guzra zamana, bada yaad aata hai bachpan suhana ....


meri School ki dost jo mere saath raha karti thi ...
yaad hai wo school ki bus dam karna paidal ghar tak nikal jana
ghabrakar gheto se guzarna jo barish me jhoom jhooom kar bhaagna ...
aaahhhh i love my frnds ,main tumhe aaj bhi bahut bahut miss karti hu ....

Bachpan k din bhi kitne ache hote the
tab to sirf khilone toota karte the
Wo khushiya bhi jane kaisi khushiya thi
titli k par nooch k uchla karte the

Dua Our Khuda


Dua Our Khuda
D*U*A

Dua aik Aitmaad hai*

Dua aik Yaqeen hai*

Dua aik Bhrosa hai

Dua aik Umeed hai*

Dua aik guftagu hai*

Dua aik pakizagi hai

Dua aik wasila hai*

Dua aik housla hai*

Dua aik Mohabbat hai

Dua aik raaz hai*

Dua aik Humdard hai*

Dua aik taqat hai*

Dua se Qainaat Hai*

Duayein kitna barha housla hoti hain, Kitna barha sahara hoti hain humari zindagi ke liye, main aksar sochti hon Khuda se baat karne ka agar zariya na hota to kaise jee pate hum, Yeh duayein Allah se baatein karna hi to hota hai, apne dil ke sare raaz lafzon se kholna, kyonke waise to Khuda humari neeyatein janta hai, humare alfaz to bas humare andar ke boojh ko halka karne our thoda sukoon hasil karne ke liye hote hain, Kitna chain milta hai na poore aitmaad our yaqeen ke saath jab hath uthaye jate hain, ya even sirf dil se Allah ko apne Rab ko pukara jata hain, aik ajeeb sa aitbaar sa aik ajeeb tarha se hum mutmain ho jate hain, ke haan wo jisne hume creat kiya wo humein sun raha hai




Dua aik aisa hatiyar hai jise istimaal karne pe na koi saza hai na gunah, yeh aik aisi taqat hai jo sabke paas hai, bas ise kaise istimal karna hai yeh seekhne our mehsoos karne ki baat hai, kehte hain na ke duaon ka ghur dua karne ka salika jab koi khud ya apna pyara mushkil mein hota hain to khud-ba-khud aa jata hai, yeh koi seekhne seekhane ki baat nahin, kyonke wo Khuda har zuban har andaz our har tarha se janta hai hum kya keh rahe hain, kya chah rahe hain, kuch badnaseeb apni duaon mein apni us guftaguu jo Khuda se karte hain us mein shikayat bhi shamil kar lete hain, main nahin kehti ke kisiko kya karna hai, Allah sabka hai, our har kisiko rights hain wo Allah se kaisa taluq and muamla rakhna chahta hai, wo rag rag se kareeb hai, nass nass mein basa hua hai, main sirf yeh sochti hon ke jab shukar keliye waqt our alfaz kam hai to shikwa kaise kare koi, kya thodi thodi sharam nahin ati hogi, I mean jab hum sans lete hain to dua karte hain na, matlab ke Rab se humkalam hote hain in other words, to hum to us aik sans ke ane jane ka shukar ada nahin kar sakte, to shikwa shikayat kaisi?


Shaiyad main pagal hon ya phir bas thoda gehrayi mein jana chahti hon, sir utna jitna main samajh sakti hon, kyonke kuch batein bas dekhne mehsoos karne our subhanAllah kehne ke liye hoti hain, unke analize nahin kiya ja sakta na unko deeply se samjha ja sakta hai haan to main keh rahi thi ke maine aik pic dekhi hmm aik ultrasound baby pic jo mujhe aik friend ne dikhayi a time back, to wahan baby ne na aise hath rakhe the jaise hum dua mangte waqt rakhte hain, made me think hmmmmmm�to yeh silsila aik tarha se humare duniya mein ane se pehle hi shuru ho jata hai, ke hum Allah se baatein karna tab se chahne lagte hain jab abhi humara wujood hi nahin hota kahin is jahan mein, abhi hum ne is duniya our iski ranginiyon ke chehra hi nahin dekha hota..




Har bashar har insaan jis mein zara si jaan hai wo duaon ka sahara kabhi na kabhi zaroor leta hai, koi mane na mane dua chahe dil se kare, ankhon se ashkon ki zurat kare, zuban se alfaz ki surat kare, hath utha kar kare, sar utha kar kare, ya sar jhuka kar kare, beth kar kare, lait kar kare, karhe ho kar kare,har haal mein insan dua zaroor karta hai, kyonke yeh fitrat hai, our fitrat badalti nahin hai Kisi ne kuch paa liya to kahega Oh Allah tera shukar, Oh God thanx� to ho gayi na dua, ke tab aik tarha se Allah se baat ho gayi, hum use kind of bulate hain thanx kehne ko Jab kuch kho diya to ya to unfortunately shikayat alfaz se hogi ya phir khmaosh shikayat, but dua hi hogi na, kyonke Khuda se guftagu hogi��. Koi dua bhi unheard nahin rehti, hota sirf yeh hai ke kyonke Allah behtar janta hai whats best for us to Dua kar form thoda badal jata hai, lekin socha jaye to qubool zaroor hoti hain, one way or the other, our jo nahin hui hoti, wo save hoti hain Allah ke paas, MashAllah what a beautiful place to save our Duas na ))))
Isliye main aksar sochti hon ke humein apni duaon ko bouhat pyara se andaz se ada karna chahiye, ab sochein na ke jab hum apne kisi pyare dost se koi kisi Mehboob se baat karta hai, to kitni mithaas gul si jaati hai lehje mein, humare andar ki saari acchayi samne aa jati hain, kyonke wo jinhe hum chahte hain humare samne hain our hum un se baat kar rahe hain, har baat mein ek ada hogi, aik tazgi hogi, chahe humari soch alag hogi, hum thoda bouhat argue kareinge tab bhi kyonke dil mein chahat ulfat jawaan hoti hai to lehja had-darja narm hi hoga, to sochne ki baat hai DUA to KHUDA se guftagu hai, wo Khuda ke jisne humein paida kiya, hum jo hain jiski rehmat our karam ki wajah se hai, kya humein apne lehje apne andaz ko pyara nahin rakhna chahiye, kya khud-ba-khud humare andar wo mithas wo sukoon wo thehrao nahin aa jana chahiye Dua karte
Afsos hai un par jo chillla kar dua mangte hain, jo kisi wajah se itne pagal ho jate hain ke bhool jate hain samne koan hai, wo kis se muhatib hain, ghirhgirha kar baat karna, us se muafi mangna to theek ho sakta hai, lekin chillla kar us se shikwa karne se darna chahiye�Baat choti si to hai ke Jab sabkuch Khuda ka hai, humare paas jo bhi hai usiki ataa hai, usi ne diya hai, jab hum khud Khuda ke hain, to kuch khone ya na paane par shikayat kaisi? Dua bouhat hi masoom our pyara sa zariya hai Khuda ke kareeb ane ka, ise itna hi masoom our pyara barqarar rakhna chahiye

Meri Dua hai Allah sabki Duaon mein khuloos rakhna, Ameen!

~MAA AUR BETI KA RISHTA~



BETI KA KEHNA MAA SAY


Yeh Kamyaabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai

Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Maqaam Tum Se Hai

Tumharey Dam Se Hien Mere Laho Mein Khiltey Gulaab

Mere Wajood Ka Sara Nazaam Tum Se Hai

Kahan Bisaaat Jahan Aur Mein Kamsin Nadan

Yeh Meri Jeet Ka Sab Ehtamam Tum Sey Hai

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Mein Hoon

Jahan Jahan Hai Mera Ehtaraam Tum Sey Hai


BETI SHADI BEDAI KAY WAQT


Kese Bhoolo Mein Vo Din Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Mein Rooth Jati To Pyar Se Mujhe Manati

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Na So Paon Mein Vo Lori Ga Ke Sunati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Mein Khaon Na Vo Peeche Peeche Aati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabhi Roti Thi Mein Vo Pyar Se Sehlati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Jab Kabi Hasti Thi Mein Vo Phooli Na Samati Thi

Vo Samye Hi Bas Samye Tha Jab Maa Mere Pas Thi

Kyo Kiya Vida Tune Mujhe Doli Mein Bitha Ker Ke

Roi To Mein Bahoot Thi Phir Bhi Na Roka Tune Mujhe


BETI SASURAL MAIN


Aaj Jab Mein Roti Hoon To Koi Manata Nahi

Aaj Na So Paon Agar Mein To Koi Lori Gata Nahi

Aaj Jab Mein Rooth Jaon Koi Manata Nahi

Aaj Na Khaon Jo Mein To Koi Khilata Nahi

Aaj Mein Udas Hoon To Kyo Tu Aati Nahi

Kyo Tu Apne Saath Mujhe Vapis Le Jati Nahi


MAA KA PYAR BETI KAY LIYE


Sunti Hoon Pukar Teri Lekin Mein Majboor Hoon

Koi Nahi Hai Mera Mein Gamo Se Choor Hoon

Na Saya Hai Pati Ka Na Beta Mere Saath Hai

Duniya Ki Jo Reet Hai Usse Mein Majboor Hoon

Chahati Hoon Paas Rakhna Lekin Duniya Se Majboor Hoon

Aaj Mein Pachtati Hoon Kyo Roothi Ko Manaya Mene

Kyo Lori Gaa Ke Sulaya Mene

Kyo Pyar Se Sehlaya Mene

Kyo Laad Sare Ladaye Mene

Kyo Bhool Gai Mein Tu To Parai Hai

Mere Ghar To Keval Mehmaan Ban Ke Aai Hi


HATS OFF TO WOMENS


BETI....BEHAN....BAHOOO...BIWI....
BUT SAB SAY BADA CHALLENGE
MAA


Papa Ki Pari

Papa Ki Pari
Sochne se phele hi baat samajh jate hai
Magne se phele hi de dete hai.
Har pal mere sath rahete hai
Kabhi yeh nahi sochte ki mai ek ladki hue.
Har baat mai unki bas pyaar hota hai
Har din aur raat mere kushi ki dua karte hai
Ek woh jo sochte bhi nahi ki
Maine kya manga hai
Bas bolne ke phele hi dete hai
Ek rani ke taraha rakha hai,
Kabhi yeh essas nahi karwaya ki mai beti hue
Ek bête ki tarah rakha hai.
Na koi sawal na ko shikayat karte hai.
Mere asshue bhi aapne aakho mai le lete hai
Chot mujhe lagti hai aur taklif unne hota hai,
Ek beti ko bête se bhi baar kar rakha hai,
Har roz mai unne pareshan karti hue
Aur roz hi woh pareshan hote hai.
Kabhi uuf tak nahi nikalti hai
unnke mue seBas dua karte rahete hai
woh mere liye,Aur kahte rahete hai
ki tum pari ho
Aur bas uss dinse mai papa ki pari ban gayi.
Aur dua karti hue ki mai hamesha
Hi rahue papa ki pari
Aur dua hai ki meri kushiyo se unne bhi kushiya mile
Dua hi dua karte hai bas, papa ki dua ke hissa hi hue mai.