Monday, October 19, 2009

bachpan ....

kuch hum se sunye kuch apni sonayee .... wo dhondlaye baatain
wo bachpan ki yaadain ...bada yaad hai aata hai guzra zamana,
bada yaad aata hai bachpan suhana
Bachpan ki yaad bahut tadpati hai saamne sab kuch aa jaata hai dosto tumhe bahut miss karti hu kahan ho, kaise ho tum,koi khabar bhejo..

yaad hai wo galiya jiski rounak thi dam se hamare kitne hi pyare pyare pal the wo jo hamne sath khel kar guzare yaad hai mujhe wo bachpan ki galya jaha hum SAB ghuma karte the aaj bhi main sab ko bahut miss karti hu


Meri Jaan meri Mom ... raat ko kas kar mujeh choti daalna ye keh kar scarf baan kar sojao subha tak choti theek rahegi ... aaahhhh Mom Subha wo choti nend me tedi hojati thi jo har bacha mujhe dekha kar hansta tha ... Meri jaan Meri Mom i love u ... main aaj bhi tumhe bahut miss karti hu



Sab se acha insaan is dunya ka Mummy Papa jo aksar bachpan me sona karti thi main unka fav. dilouge (Dushman ki nazar dekhta hu sone ka niwala khilata hu ...)un ka matlab tha k ziyada laad nahi karna bacho ko is se bigar jate aur Sone ka niwala se murad un ko dunyah ki har aysh o araam means khushi dunga ....wawww Dad i love u and main aaj bhi tumhe bahut miss karti hubada yaad hai aata hai guzra zamana, bada yaad aata hai bachpan suhana ....


meri School ki dost jo mere saath raha karti thi ...
yaad hai wo school ki bus dam karna paidal ghar tak nikal jana
ghabrakar gheto se guzarna jo barish me jhoom jhooom kar bhaagna ...
aaahhhh i love my frnds ,main tumhe aaj bhi bahut bahut miss karti hu ....

Bachpan k din bhi kitne ache hote the
tab to sirf khilone toota karte the
Wo khushiya bhi jane kaisi khushiya thi
titli k par nooch k uchla karte the

No comments:

Post a Comment

Thankyou